Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


sadaqat uThti jati hai jahan se


sadāqat uThtī jaatī hai jahāñ se
zamīñ Takrā na jaa.e āsmāñ se

sharar-hā-e-ġham-e-hastī ko saaqī
bujhā bhī de sharāb-e-arġhavāñ se

sitam-gāroñ sitam se baaz aao
Daro ham nā-tavānoñ kī fuġhāñ se

shab-e-ġham kī hazīñ tanhā.iyoñ meñ
sukūn-e-dil koī laa.e kahāñ se

bahār aa.ī na jab apne chaman meñ
mohabbat ho ga.ī āḳhir ḳhizāñ se

jo dil kā haal sab un ko sunā de
'naresh' aisī zabāñ lā.ūñ kahāñ se

sadaqat uThti jati hai jahan se
zamin Takra na jae aasman se

sharar-ha-e-gham-e-hasti ko saqi
bujha bhi de sharab-e-arghawan se

sitam-garon sitam se baz aao
Daro hum na-tawanon ki fughan se

shab-e-gham ki hazin tanhaiyon mein
sukun-e-dil koi lae kahan se

bahaar aai na jab apne chaman mein
mohabbat ho gai aaKHir KHizan se

jo dil ka haal sab un ko suna de
'naresh' aisi zaban laun kahan se


Leave a comment

+