Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Erum Zehra

  • Ghazal


kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun


kitnī duur se chalte chalte ḳhvāb-nagar tak aa.ī huuñ
paañv meñ maiñ chhāle sah kar apne ghar tak aa.ī huuñ

kaalī raat ke sannāTe ko maiñ ne pīchhe chhoḌ diyā
shab-bhar taare ginte ginte dekh sahar tak aa.ī huuñ

likhte likhte lafzoñ se merī bhī kuchh pahchān huī
saarī umr kī pūñjī le kar aaj hunar tak aa.ī huuñ

shāyad vo miTTī se koī terī shakl banā paa.e
tere ḳhadd-o-ḳhāl batāne kūza-gar tak aa.ī huuñ

sūraj kī shiddat ne mujh ko kitnā hai behāl kiyā
dhuup kī chādar oḌh ke sar pe ek shajar tak aa.ī huuñ

bābul ke āñgan se ik din har beTī ko jaanā hai
āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb sajā kar tere dar tak aa.ī huuñ

apne haath meñ ilm kī sham.a 'iram' ne thāme rakkhī hai
maiñ to ek ujālā le kar dīda-var tak aa.ī huuñ

kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun
panw mein main chhaale sah kar apne ghar tak aai hun

kali raat ke sannaTe ko main ne pichhe chhoD diya
shab-bhar tare ginte ginte dekh sahar tak aai hun

likhte likhte lafzon se meri bhi kuchh pahchan hui
sari umr ki punji le kar aaj hunar tak aai hun

shayad wo miTTi se koi teri shakl bana pae
tere KHadd-o-KHal batane kuza-gar tak aai hun

suraj ki shiddat ne mujh ko kitna hai behaal kiya
dhup ki chadar oDh ke sar pe ek shajar tak aai hun

babul ke aangan se ek din har beTi ko jaana hai
aankhon mein nae KHwab saja kar tere dar tak aai hun

apne hath mein ilm ki shama 'iram' ne thame rakkhi hai
main to ek ujala le kar dida-war tak aai hun


Leave a comment

+