Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aazim Kohli

  • Ghazal


meri yaaden bhala tum kis tarah dil se miTaoge


mirī yādeñ bhalā tum kis tarah dil se miTāoge
bhulā kar to zarā dekho mujhe kaise bhulāoge

mohabbat karne vaale dard meñ tanhā nahīñ hote
jo rūThoge kabhī mujh se to apnā dil dukhāoge

karoge yaad tum guzre zamānoñ kī sabhī bāteñ
kabhī itrā ke hañs doge kabhī aañsū bahāoge

guzar jaate haiñ jo lamhe kabhī vāpas nahīñ aate
to biite pal mohabbat ke kahāñ se le ke aaoge

judā apnoñ se ho kar TuuT jaatā hai koī kaise
jo bichhḌoge kabhī mujh se to ḳhud hī jaan jāoge

baḌhā loge agar tum fāsle mujh se kabhī 'āzim'
to rūdād-e-dil-e-nāshād phir kis ko sunāoge

meri yaaden bhala tum kis tarah dil se miTaoge
bhula kar to zara dekho mujhe kaise bhulaoge

mohabbat karne wale dard mein tanha nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apna dil dukhaoge

karoge yaad tum guzre zamanon ki sabhi baaten
kabhi itra ke hans doge kabhi aansu bahaoge

guzar jate hain jo lamhe kabhi wapas nahin aate
to bite pal mohabbat ke kahan se le ke aaoge

juda apnon se ho kar TuT jata hai koi kaise
jo bichhDoge kabhi mujh se to KHud hi jaan jaoge

baDha loge agar tum fasle mujh se kabhi 'azim'
to rudad-e-dil-e-nashad phir kis ko sunaoge


Source: Book : Be-nishaan (Pg. 151) Author : wali aalam Shahiin Publication : Dabistan-e-jadeed (1984) Edition : 1984

Leave a comment

+