ham hī zarre rusvā.ī se
kyā shikva harjā.ī se
ishq meñ āḳhir ḳhaar hue
laakh chale dānā.ī se
girvīda karte haiñ phuul
rañgoñ aur ra.anā.ī se
milte haiñ anmol ratan
sāgar kī gahrā.ī se
jhuuT ke ḳhol meñ baiThā huuñ
Dartā huuñ sachchā.ī se
'josh' ne sīkhī hai parvāz
sirf tirī añgḌā.ī se
hum hi zarre ruswai se
kya shikwa harjai se
ishq mein aaKHir KHar hue
lakh chale danai se
girwida karte hain phul
rangon aur ranai se
milte hain anmol ratan
sagar ki gahrai se
jhuT ke KHol mein baiTha hun
Darta hun sachchai se
'josh' ne sikhi hai parwaz
sirf teri angDai se
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment