Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


zist be-asra na ho jae


ziist be-āsrā na ho jaa.e
dard dil se judā na ho jaa.e

lutf aatā hai rañj sahne meñ
mere ġham kī davā na ho jaa.e

aa rahī hai bahār phūloñ par
josh-e-vahshat sivā na ho jaa.e

kah to duuñ hāl-e-dil use lekin
Dar hai zālim ḳhafā na ho jaa.e

ḳhauf hai mujh se aañkh laḌte hī
un kī shoḳhī hayā na ho jaa.e

vo gurezāñ se haiñ sitam se 'naresh'
zindagī be-maza na ho jaa.e

zist be-asra na ho jae
dard dil se juda na ho jae

lutf aata hai ranj sahne mein
mere gham ki dawa na ho jae

aa rahi hai bahaar phulon par
josh-e-wahshat siwa na ho jae

kah to dun haal-e-dil use lekin
Dar hai zalim KHafa na ho jae

KHauf hai mujh se aankh laDte hi
un ki shoKHi haya na ho jae

wo gurezan se hain sitam se 'naresh'
zindagi be-maza na ho jae


Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 302)

Leave a comment

+