Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mah Talat Zahidi

  • Ghazal


wahshat bhari raaton ko kinara nahin milta


vahshat bharī rātoñ ko kināra nahīñ miltā
dil Duub chalā sub.h kā taarā nahīñ miltā

milte haiñ bahut yuuñ to jo āġhosh-kushā ho
dil ke liye vo dard kā dhārā nahīñ miltā

is ahd kī tasvīr meñ apnā bhī lahū hai
DhūñDe se magar naam hamārā nahīñ miltā

qudrat kā karam ho to alag baat hai varna
mushkil meñ to apnoñ kā sahārā nahīñ miltā

sadiyāñ haiñ faqat ek hī lamhe kī kahānī
lamha jise kho de vo dobāra nahīñ miltā

wahshat bhari raaton ko kinara nahin milta
dil Dub chala subh ka tara nahin milta

milte hain bahut yun to jo aaghosh-kusha ho
dil ke liye wo dard ka dhaara nahin milta

is ahd ki taswir mein apna bhi lahu hai
DhunDe se magar nam hamara nahin milta

qudrat ka karam ho to alag baat hai warna
mushkil mein to apnon ka sahaara nahin milta

sadiyan hain faqat ek hi lamhe ki kahani
lamha jise kho de wo dobara nahin milta


Leave a comment

+