sāmne aao ki maiñ chehra-e-zebā dekhūñ
aur is ā.īne meñ aks phir apnā dekhūñ
tum hī manzil ho tum hī gauhar-e-maqsūd mirā
dekh kar tum ko maiñ kyā aur tamāshā dekhūñ
tum hī batlāo ki is kār-gah-e-hastī meñ
kyā na dekhūñ maiñ agar dekhūñ to kyā kyā dekhūñ
tujh ko ye naaz koī pā na sakegā hargiz
mujh ko ye zid ki tirā naqsh-e-kaf-e-pā dekhūñ
tū ne chāhā to bahut gardish-e-ayyām ki maiñ
ḳhud tamāshā banūñ apnā hī tamāshā dekhūñ
kaash is ziist meñ vo vaqt bhī aa.e 'mahbūb'
chaar sū dahr meñ īmāñ kā ujālā dekhūñ
samne aao ki main chehra-e-zeba dekhun
aur is aaine mein aks phir apna dekhun
tum hi manzil ho tum hi gauhar-e-maqsud mera
dekh kar tum ko main kya aur tamasha dekhun
tum hi batlao ki is kar-gah-e-hasti mein
kya na dekhun main agar dekhun to kya kya dekhun
tujh ko ye naz koi pa na sakega hargiz
mujh ko ye zid ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekhun
tu ne chaha to bahut gardish-e-ayyam ki main
KHud tamasha banun apna hi tamasha dekhun
kash is zist mein wo waqt bhi aae 'mahbub'
chaar su dahr mein iman ka ujala dekhun
Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 144) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Leave a comment