Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Mehdi

  • Ghazal


koi harf-e-nafi na kaam aaya


koī harf-e-nafī na kaam aayā
kitnī sachchī thī dostī apnī

Thokareñ khā kar ke suraḳh-rū Thahrā
ik duā hai ye zindagī apnī

ab kahāñ hai koī harīf apnā
ḳhuub Dartī hai be-kasī apnī

kaise tārīḳh ko bhulā Dālūñ
ḳhuuñ meñ Duubī hai ye sadī apnī

kuchh na khātā huuñ kuchh na piitā huuñ
bhūkī sotī hai muflisī apnī

ḳhālī botal takā hī kartī hai
kitnī pyāsī hai mai-kashī apnī

shāyad apnā ḳhudā tarāsh liyā
ab kahāñ hai vo bandagī apnī

shāyad 'iqbāl' se Darī hogī
pahle sarshār thī ḳhudī apnī

saare alfāz saath chhoḌ ga.e
saada kāġhaz hai shā.irī apnī

kārvāñ chhoḌ ke vo aayā hai
ik musāfir hai rahbarī apnī

koi harf-e-nafi na kaam aaya
kitni sachchi thi dosti apni

Thokaren kha kar ke suraKH-ru Thahra
ek dua hai ye zindagi apni

ab kahan hai koi harif apna
KHub Darti hai be-kasi apni

kaise tariKH ko bhula Dalun
KHun mein Dubi hai ye sadi apni

kuchh na khata hun kuchh na pita hun
bhuki soti hai muflisi apni

KHali botal taka hi karti hai
kitni pyasi hai mai-kashi apni

shayad apna KHuda tarash liya
ab kahan hai wo bandagi apni

shayad 'iqbaal' se Dari hogi
pahle sarshaar thi KHudi apni

sare alfaz sath chhoD gae
sada kaghaz hai shairi apni

karwan chhoD ke wo aaya hai
ek musafir hai rahbari apni


Leave a comment

+