Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadir Siddiqui

  • Ghazal


har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai


har koī shahr meñ pāband-e-anā lagtā hai
kyā tamāshā hai ki har shaḳhs ḳhudā lagtā hai

maiñ ne hijrat ke bayābāñ meñ riyāzat kī hai
ab ye jañgal mujhe firdaus-numā lagtā hai

dīda-e-shoḳh meñ dekhā hai utar kar maiñ ne
husn pindār hai parde meñ bhalā lagtā hai

jab tire ġham se nikalne kī na sūrat nikle
terā vahshī kisī dīvār se jā lagtā hai

is ko sarkār ke bose kā sharaf hāsil hai
varna kaalā sā ye patthar mirā kyā lagtā hai

ab bhī jaatā huuñ kaTe peḌ kā saaya lene
muddatoñ se jo bhalā thā so bhalā lagtā hai

har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai
kya tamasha hai ki har shaKHs KHuda lagta hai

main ne hijrat ke bayaban mein riyazat ki hai
ab ye jangal mujhe firdaus-numa lagta hai

dida-e-shoKH mein dekha hai utar kar main ne
husn pindar hai parde mein bhala lagta hai

jab tere gham se nikalne ki na surat nikle
tera wahshi kisi diwar se ja lagta hai

is ko sarkar ke bose ka sharaf hasil hai
warna kala sa ye patthar mera kya lagta hai

ab bhi jata hun kaTe peD ka saya lene
muddaton se jo bhala tha so bhala lagta hai


Leave a comment

+