dard jab dil meñ samā jaatā hai
lazzat-e-zīst baḌhā jaatā hai
ḳhūn-e-ma.asūm se dīvāroñ par
ġham kā afsāna likhā jaatā hai
ab to har jazba-e-bebāk kā bhī
hausla past huā jaatā hai
jaane kyuuñ mujh ko hayā aatī hai
vaar jab un kā ḳhatā jaatā hai
ġham-e-ayyām kā har ik manzar
shiddat-e-dard baḌhā jaatā hai
rafta rafta dil-e-dīvāna bhī
mahram-e-rāz huā jaatā hai
be-gunāhoñ kā bhī ab to 'fāriġh'
jiinā dushvār huā jaatā hai
dard jab dil mein sama jata hai
lazzat-e-zist baDha jata hai
KHun-e-masum se diwaron par
gham ka afsana likha jata hai
ab to har jazba-e-bebak ka bhi
hausla past hua jata hai
jaane kyun mujh ko haya aati hai
war jab un ka KHata jata hai
gham-e-ayyam ka har ek manzar
shiddat-e-dard baDha jata hai
rafta rafta dil-e-diwana bhi
mahram-e-raaz hua jata hai
be-gunahon ka bhi ab to 'farigh'
jina dushwar hua jata hai
Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib
Leave a comment