Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


yun tasawwur mein khile gul hain teri baat ke baad


yuuñ tasavvur meñ khile gul haiñ terī baat ke baad
jaise gulshan meñ nikhar jaa.e fazā raat ke baad

be-qarārī na ga.ī aur na miTī dil kī ḳhalish
na mulāqāt se pahle na mulāqāt ke baad

ġham-e-duniyā bhī nahīñ ḳhvāhish-e-uqbā bhī nahīñ
kyā rahā dil meñ mire ishq ke jazbāt ke baad

shaam rañgīñ haiñ sahar meñ hai na vo kaif-o-surūr
terī sohbat meñ vo guzre hue lamhāt ke baad

rah-rav-e-shauq hī kyā jo sar-e-manzil na luTā
bāzī-e-ishq meñ aatā hai mazā maat ke baad

rū-ba-rū tere koī baat banā.e na bane
kis tarah baat bane merī tirī baat ke baad

mai meñ mastī hai na mai-ḳhāroñ meñ vo josh-o-ḳharosh
mai-kada suunā huā rind-e-ḳharābāt ke baad

bāda-e-husn se sarshār rahe roz 'habīb'
kaif har kaif hai har raat meñ har raat ke baad

yun tasawwur mein khile gul hain teri baat ke baad
jaise gulshan mein nikhar jae faza raat ke baad

be-qarari na gai aur na miTi dil ki KHalish
na mulaqat se pahle na mulaqat ke baad

gham-e-duniya bhi nahin KHwahish-e-uqba bhi nahin
kya raha dil mein mere ishq ke jazbaat ke baad

sham rangin hain sahar mein hai na wo kaif-o-surur
teri sohbat mein wo guzre hue lamhat ke baad

rah-raw-e-shauq hi kya jo sar-e-manzil na luTa
bazi-e-ishq mein aata hai maza mat ke baad

ru-ba-ru tere koi baat banae na bane
kis tarah baat bane meri teri baat ke baad

mai mein masti hai na mai-KHaron mein wo josh-o-KHarosh
mai-kada suna hua rind-e-KHarabaat ke baad

baada-e-husn se sarshaar rahe roz 'habib'
kaif har kaif hai har raat mein har raat ke baad


Volume-001"

Leave a comment

+