Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaami Shah

  • Ghazal


ek nae masale se nikle hain


ik na.e mas.ale se nikle haiñ
ye jo kuchh rāste se nikle haiñ

kāġhzī haiñ ye jitne pairāhan
ek hī silsile se nikle haiñ

le uḌā hai tirā ḳhayāl hameñ
aur ham qāfile se nikle haiñ

yaad rahte haiñ ab jo kaam hameñ
ye use bhūlne se nikle haiñ

ek nae masale se nikle hain
ye jo kuchh raste se nikle hain

kaghzi hain ye jitne pairahan
ek hi silsile se nikle hain

le uDa hai tera KHayal hamein
aur hum qafile se nikle hain

yaad rahte hain ab jo kaam hamein
ye use bhulne se nikle hain


Leave a comment

+