Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahaveer Uttaranchali

  • Ghazal


baDi taklif dete hain ye rishte


baḌī taklīf dete haiñ ye rishte
yahī uphār dete roz apne

zamīñ se āsmāñ tak phail jaa.eñ
dhanak meñ ḳhvāhishoñ ke rañg bikhre

nahīñ TuuTe kabhī jo mushkiloñ se
bahut ḳhuddār ham ne log dekhe

ye kaḌvā sach hai yāroñ muflisī kā
yahāñ har aañkh meñ haiñ TuuTe sapne

kahāñ le jā.egā mujh ko zamāna
baḌī uljhan hai koī hal to nikle

baDi taklif dete hain ye rishte
yahi uphaar dete roz apne

zamin se aasman tak phail jaen
dhanak mein KHwahishon ke rang bikhre

nahin TuTe kabhi jo mushkilon se
bahut KHuddar hum ne log dekhe

ye kaDwa sach hai yaron muflisi ka
yahan har aankh mein hain TuTe sapne

kahan le jaega mujh ko zamana
baDi uljhan hai koi hal to nikle


Leave a comment

+