Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Zaidi

  • Ghazal


khiDkiyan kholin to mujhko aaj andaza hua


khiḌkiyāñ kholīñ to mujh ko aaj andāza huā
merā hī saaya thā vo dīvār se lipTā huā

aaj kī shab bhī palaT aa.e binā dastak diye
so rahā thā ghar meñ koī raat kā jaagā huā

is galī ke moḌ pe baiThā huuñ kitnī der se
jis tarah koī musāfir huuñ thakā-hārā huā

jis taraf bhī ab uḌā le jaa.eñ mujh ko āñdhiyāñ
ek patta huuñ havā ke dosh pe rakkhā huā

aur bhī kuchh duur aa pahuñche ham apne shahr se
lag rahā thā rāsta jaanā huā būjhā huā

so gayā hai mere siine se lagā kar apnā sar
ik khilaune ke liye bachcha koī rotā huā

be-ta.alluq sā paḌā thā mausamoñ ke sāmne
sabz patta koī apnī shāḳh se TuuTā huā

dhuñd meñ lipTī huī thiiñ apnī tahrīreñ sabhī
paḌh nahīñ paa.e 'zafar' ham haath kā likkhā huā

khiDkiyan kholin to mujh ko aaj andaza hua
mera hi saya tha wo diwar se lipTa hua

aaj ki shab bhi palaT aae bina dastak diye
so raha tha ghar mein koi raat ka jaga hua

is gali ke moD pe baiTha hun kitni der se
jis tarah koi musafir hun thaka-haara hua

jis taraf bhi ab uDa le jaen mujh ko aandhiyan
ek patta hun hawa ke dosh pe rakkha hua

aur bhi kuchh dur aa pahunche hum apne shahr se
lag raha tha rasta jaana hua bujha hua

so gaya hai mere sine se laga kar apna sar
ek khilaune ke liye bachcha koi rota hua

be-talluq sa paDa tha mausamon ke samne
sabz patta koi apni shaKH se TuTa hua

dhund mein lipTi hui thin apni tahriren sabhi
paDh nahin pae 'zafar' hum hath ka likkha hua


Leave a comment

+