sub.h ko niklā thā garche karr-o-farr se āftāb
muñh phirāyā ho ḳhajil us ishva-gar se āftāb
āsmāñ par gar gire barq-e-nigāh-e-tund-bār
abr meñ rah jaa.e chhup kar us ke Dar se āftāb
gar naqāb apnī ulaT de vo ruḳh-e-tābinda se
gir paḌe betāb ho kar charḳh par se āftāb
dil meñ jab se dekhtā hai vo tirī tasvīr ko
nuur barsātā hai apnī chashm-e-tar se āftāb
haibat-e-shāh-e-dakan se 'shād' ye shohra hai aaj
kāñptā niklā kare jeb-e-sahar se āftāb
subh ko nikla tha garche karr-o-farr se aaftab
munh phiraya ho KHajil us ishwa-gar se aaftab
aasman par gar gire barq-e-nigah-e-tund-bar
abr mein rah jae chhup kar us ke Dar se aaftab
gar naqab apni ulaT de wo ruKH-e-tabinda se
gir paDe betab ho kar charKH par se aaftab
dil mein jab se dekhta hai wo teri taswir ko
nur barsata hai apni chashm-e-tar se aaftab
haibat-e-shah-e-dakan se 'shad' ye shohra hai aaj
kanpta nikla kare jeb-e-sahar se aaftab
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 64) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment