Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui


biich jañgal meñ pahuñch ke kitnī hairānī huī
ik sadā aa.ī achānak jānī-pahchānī huī

phir vahī chhat par akele ham vahī ThanDī havā
kitne andeshe baḌhe jab raat tūfānī huī

ho ga.ī duur an-ginat vīrāñ guzargāhoñ kī koft
ek bastī se guzarne meñ vo āsānī huī

us ne bārish meñ bhī khiḌkī khol ke dekhā nahīñ
bhīgne vāloñ ko kal kyā kyā pareshānī huī

gard-e-rah ke baiThte hī dekhtā kyā huuñ 'jamāl'
jānī-pahchānī huī har shakl an-jānī huī

bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui
ek sada aai achanak jaani-pahchani hui

phir wahi chhat par akele hum wahi ThanDi hawa
kitne andeshe baDhe jab raat tufani hui

ho gai dur an-ginat viran guzargahon ki koft
ek basti se guzarne mein wo aasani hui

us ne barish mein bhi khiDki khol ke dekha nahin
bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui

gard-e-rah ke baiThte hi dekhta kya hun 'jamal'
jaani-pahchani hui har shakl an-jaani hui


Leave a comment

+