Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Maaham Shah

  • Ghazal


dard-e-dil kaun aazmata hai


dard-e-dil kaun āzmātā hai
kaun be-chainiyāñ baḌhātā hai

raat bhar jāgte rahe ho tum
jaane kyā ġham tumheñ satātā hai

hañste hañste jo rone lagte ho
kuchh kaho kaun yaad aatā hai

jis nujūmī ne thī hathelī paḌhī
kyā muqaddar bhī vo jagātā hai

jise karnā ho koī vāda-vafā
to vo phir lauT kar bhī aatā hai

kūcha-e-husn to gayā sālim
par ye dil TuuT kar hī aatā hai

maan letī huuñ us kā kahnā bhī
jaane phir ruuTh ke kyoñ jaatā hai

dard-e-dil kaun aazmata hai
kaun be-chainiyan baDhata hai

raat bhar jagte rahe ho tum
jaane kya gham tumhein satata hai

hanste hanste jo rone lagte ho
kuchh kaho kaun yaad aata hai

jis nujumi ne thi hatheli paDhi
kya muqaddar bhi wo jagata hai

jise karna ho koi wada-wafa
to wo phir lauT kar bhi aata hai

kucha-e-husn to gaya salim
par ye dil TuT kar hi aata hai

man leti hun us ka kahna bhi
jaane phir ruTh ke kyon jata hai


Leave a comment

+