tirā lahza vahī talvār jaisā thā
mirī gardan meñ ḳham har baar jaisā thā
utar jaatā to rusvā.ī bahut hotī
ki sar kā bojh bhī dastār jaisā thā
tarāshī haiñ ġham-e-daurāñ ne taqdīreñ
ye ḳhanjar bhī kisī auzār jaisā thā
hañsī bhī ishtihāroñ sī chamaktī thī
vo chehra to kisī aḳhbār jaisā thā
bahut rishte the sab kī qīmateñ tai thī
hamāre ghar meñ kuchh bāzār jaisā thā
tera lahza wahi talwar jaisa tha
meri gardan mein KHam har bar jaisa tha
utar jata to ruswai bahut hoti
ki sar ka bojh bhi dastar jaisa tha
tarashi hain gham-e-dauran ne taqdiren
ye KHanjar bhi kisi auzar jaisa tha
hansi bhi ishtihaaron si chamakti thi
wo chehra to kisi aKHbar jaisa tha
bahut rishte the sab ki qimaten tai thi
hamare ghar mein kuchh bazar jaisa tha
Leave a comment