ham jabr-e-mohabbat se gurezāñ nahīñ hote
zulfoñ kī tarah terī pareshāñ nahīñ hote
ai ishq tirī raah meñ ham chal to rahe haiñ
kuchh marhale aise haiñ jo āsāñ nahīñ hote
dānāoñ ke bhī hosh uḌe rāh-e-talab meñ
nādāñ jinheñ kahte ho vo nādāñ nahīñ hote
jalvoñ ke tire ham jo tamāshā.ī rahe haiñ
sau jalve hoñ nazroñ meñ to hairāñ nahīñ hote
allāh re ye vahshat-e-ushshāq kā aalam
mahfūz kabhī jaib o garebāñ nahīñ hote
kyā un kī bhī āñkhoñ meñ hai merā hī gul-e-tar
aise to mere dost gulistāñ nahīñ hote
hum jabr-e-mohabbat se gurezan nahin hote
zulfon ki tarah teri pareshan nahin hote
ai ishq teri rah mein hum chal to rahe hain
kuchh marhale aise hain jo aasan nahin hote
danaon ke bhi hosh uDe rah-e-talab mein
nadan jinhen kahte ho wo nadan nahin hote
jalwon ke tere hum jo tamashai rahe hain
sau jalwe hon nazron mein to hairan nahin hote
allah re ye wahshat-e-ushshaq ka aalam
mahfuz kabhi jaib o gareban nahin hote
kya un ki bhi aankhon mein hai mera hi gul-e-tar
aise to mere dost gulistan nahin hote
Leave a comment