Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


uski talab mein rah ko takti hai zindagi


us kī talab meñ raah ko taktī hai zindagī
āñkhoñ meñ vaqt-e-shām chamaktī hai zindagī

tere liye jab aañkh barastī hai raat ko
phir dil ke saath saath sulagtī hai zindagī

dukh se niDhāl ho ke jo rotī haiñ beTiyāñ
phir un ke dekh dekh ke hañstī hai zindagī

jo ik ḳhayāl bā.is-e-āzār hai bahut
us ik ḳhayāl se hī chahaktī hai zindagī

kis se kareñ ye baat ki jo haal haiñ yahāñ
ḳhāmosh agar hue to bilaktī hai zindagī

rastoñ ko soch soch pareshān haiñ sabhī
manzil ko khoj khoj sisaktī hai zindagī

chāhat ke jo bhī zaḳhm haiñ rakhiye sambhāl kar
in kī hī baas se to mahaktī hai zindagī

us ne diyā thā ek diyā raah ke liye
kab tak jalegā aaj to thaktī hai zindagī

us ki talab mein rah ko takti hai zindagi
aankhon mein waqt-e-sham chamakti hai zindagi

tere liye jab aankh barasti hai raat ko
phir dil ke sath sath sulagti hai zindagi

dukh se niDhaal ho ke jo roti hain beTiyan
phir un ke dekh dekh ke hansti hai zindagi

jo ek KHayal bais-e-azar hai bahut
us ek KHayal se hi chahakti hai zindagi

kis se karen ye baat ki jo haal hain yahan
KHamosh agar hue to bilakti hai zindagi

raston ko soch soch pareshan hain sabhi
manzil ko khoj khoj sisakti hai zindagi

chahat ke jo bhi zaKHm hain rakhiye sambhaal kar
in ki hi bas se to mahakti hai zindagi

us ne diya tha ek diya rah ke liye
kab tak jalega aaj to thakti hai zindagi


Source: Shikast-e-Qeemat-e-Dil

Leave a comment

+