jab bhī girtā huuñ thaam letā hai
yuuñ bhī vo intiqām letā hai
kyā shikāyat adā hai ye us kī
be-niyāzī se kaam letā hai
aisā kyā kuchh pilā diyā tū ne
jo bhī hai terā naam letā hai
chhiḌ hī jaatī hai dāstāñ merī
jab koī terā naam letā hai
sab kī nazreñ bachā ke ai 'hairat'
koī terā salām letā hai
jab bhi girta hun tham leta hai
yun bhi wo intiqam leta hai
kya shikayat ada hai ye us ki
be-niyazi se kaam leta hai
aisa kya kuchh pila diya tu ne
jo bhi hai tera nam leta hai
chhiD hi jati hai dastan meri
jab koi tera nam leta hai
sab ki nazren bacha ke ai 'hairat'
koi tera salam leta hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment