Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Siddiqui

  • Ghazal


is shahr-e-tishnagi mein kahin aab ke siwa


is shahr-e-tishnagī meñ kahīñ aab ke sivā
kuchh bhī nazar na aayā mujhe ḳhvāb ke sivā

phir kis ke kaam aa.egī merī shanāvarī
dariyā meñ kuchh na hogā jo girdāb ke sivā

is raushnī meñ jis se munavvar hai kā.enāt
sab kuchh dikhā.ī detā hai mahtāb ke sivā

bāġh-e-jahāñ kī sair meñ ab kyā batā.ūñ maiñ
kyā kyā mujhe milā gul-e-shādāb ke sivā

ye āñkheñ ye dimāġh ye zaḳhmoñ kā ghar badan
sab mahv-e-ḳhvāb haiñ dil-e-be-tāb ke sivā

ahl-e-junūñ ko is kī ḳhabar der se huī
ik ghar bhī hogā dasht-e-fusūñ-tāb ke sivā

is shahr-e-tishnagi mein kahin aab ke siwa
kuchh bhi nazar na aaya mujhe KHwab ke siwa

phir kis ke kaam aaegi meri shanawari
dariya mein kuchh na hoga jo girdab ke siwa

is raushni mein jis se munawwar hai kaenat
sab kuchh dikhai deta hai mahtab ke siwa

bagh-e-jahan ki sair mein ab kya bataun main
kya kya mujhe mila gul-e-shadab ke siwa

ye aankhen ye dimagh ye zaKHmon ka ghar badan
sab mahw-e-KHwab hain dil-e-be-tab ke siwa

ahl-e-junun ko is ki KHabar der se hui
ek ghar bhi hoga dasht-e-fusun-tab ke siwa


Leave a comment

+