Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daniyal Tareer

  • Ghazal


jaras aur sarbanon tak pahunchna chahta hai


jaras aur sārbānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
ye dil agle zamānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

junūnī ho gayā hai mere dariyāoñ kā paanī
pahāḌoñ ke gharānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

guzarnā chāhtī hai bādaloñ se merī hairat
mirā shak āsmānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

patañgā ek pāgal ho gayā hai raushnī meñ
farishtoñ kī uḌānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

kasāfat ḳhatm kar ke jism kī miTTī kā putlā
ḳhudā ke kār-ḳhānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

nahīñ aayā ye azhdar parbatoñ kī sair karne
zamīnoñ ke ḳhazānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

darinde saath rahnā chāhte haiñ aadmī ke
ghanā jañgal makānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai

jaras aur sarbanon tak pahunchna chahta hai
ye dil agle zamanon tak pahunchna chahta hai

jununi ho gaya hai mere dariyaon ka pani
pahaDon ke gharanon tak pahunchna chahta hai

guzarna chahti hai baadalon se meri hairat
mera shak aasmanon tak pahunchna chahta hai

patanga ek pagal ho gaya hai raushni mein
farishton ki uDanon tak pahunchna chahta hai

kasafat KHatm kar ke jism ki miTTi ka putla
KHuda ke kar-KHanon tak pahunchna chahta hai

nahin aaya ye azhdar parbaton ki sair karne
zaminon ke KHazanon tak pahunchna chahta hai

darinde sath rahna chahte hain aadmi ke
ghana jangal makanon tak pahunchna chahta hai


Source: Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 69) Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+