phir kisī yaad kā darvāza khulā āhista
kaun aatā hai chalā aa.e zarā āhista
dam-zadan meñ nahīñ jā.egī bahār-e-gulshan
aable phūTeñge ai ābla-pā āhista
baat vo saaf hī kab thī jo samajh meñ aatī
mujh se kuchh kahtī rahī chashm-e-hayā āhista
shaam hai ek sitāra hai sar-e-charḳh-e-vafā
maañg us vaqt koī dil se duā āhista
haa.e us shaḳhs pe kyā jāniye kyā guzrī thī
bātoñ bātoñ meñ tire ghar se uThā āhista
hijr kī raat hai pichhle kā samāñ hai 'almās'
dard āhista zarā bād-e-sabā āhista
phir kisi yaad ka darwaza khula aahista
kaun aata hai chala aae zara aahista
dam-zadan mein nahin jaegi bahaar-e-gulshan
aable phuTenge ai aabla-pa aahista
baat wo saf hi kab thi jo samajh mein aati
mujh se kuchh kahti rahi chashm-e-haya aahista
sham hai ek sitara hai sar-e-charKH-e-wafa
mang us waqt koi dil se dua aahista
hae us shaKHs pe kya jaaniye kya guzri thi
baaton baaton mein tere ghar se uTha aahista
hijr ki raat hai pichhle ka saman hai 'almas'
dard aahista zara baad-e-saba aahista
Leave a comment