Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faragh Rohvi

  • Ghazal


din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain


din meñ bhī hasrat-e-mahtāb liye phirte haiñ
haa.e kyā log haiñ kyā ḳhvāb liye phirte haiñ

ham kahāñ manzar-e-shādāb liye phirte haiñ
dar-ba-dar dīda-e-ḳhūñ-nāb liye phirte haiñ

vo qayāmat se to pahle nahīñ milne vaalā
kis liye phir dil-e-betāb liye phirte haiñ

ham se tahzīb kā dāman nahīñ chhoḌā jaatā
dasht-e-vahshat meñ bhī ādāb liye phirte haiñ

saltanat haath se jaatī rahī lekin ham log
chand baḳhshe hue alqāb liye phirte haiñ

ek din honā hai miTTī kā nivāla phir bhī
jism par atlas-o-kamḳhvāb liye phirte haiñ

ham-navā.ī kahāñ hāsil hai kisī kī mujh ko
ham-navāoñ ko to ahbāb liye phirte haiñ

kis liye log hameñ sar pe biThā.eñge farāġh
ham kahāñ ke par-e-surḳhāb liye phirte haiñ

din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain
hae kya log hain kya KHwab liye phirte hain

hum kahan manzar-e-shadab liye phirte hain
dar-ba-dar dida-e-KHun-nab liye phirte hain

wo qayamat se to pahle nahin milne wala
kis liye phir dil-e-betab liye phirte hain

hum se tahzib ka daman nahin chhoDa jata
dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain

saltanat hath se jati rahi lekin hum log
chand baKHshe hue alqab liye phirte hain

ek din hona hai miTTi ka niwala phir bhi
jism par atlas-o-kamKHwab liye phirte hain

ham-nawai kahan hasil hai kisi ki mujh ko
ham-nawaon ko to ahbab liye phirte hain

kis liye log hamein sar pe biThaenge faragh
hum kahan ke par-e-surKHab liye phirte hain


Leave a comment

+