apnī palkoñ se jo TuuTe haiñ guhar dekhte haiñ
ham duā māñgte haiñ aur asar dekhte haiñ
koī barsā huā bādal bhī jo guzrā hai to ham
Dar ke bārish meñ Tapaktā huā ghar dekhte haiñ
sair kaisī yahāñ tahzīb kī zanjīr bhī hai
ham to bas rauzan-e-dīvār se dar dekhte haiñ
sirf ḳhvāboñ kā jahāñ ham ne sajāyā varna
log to jī meñ jo aa jaa.e vo kar dekhte haiñ
dāġh-e-dil dīda-e-tar vahshat-e-jāñ tanhā.ī
un ko kyā vo to faqat arz-e-hunar dekhte haiñ
ek vo manzileñ baḌh kar jinheñ lene aa.eñ
ek ham raah meñ jo gard-e-safar dekhte haiñ
dil bujhā jaatā ho jab raat kī tārīkī meñ
dekhne vaale tab āsār-e-sahar dekhte haiñ
apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain
hum dua mangte hain aur asar dekhte hain
koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum
Dar ke barish mein Tapakta hua ghar dekhte hain
sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai
hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain
sirf KHwabon ka jahan hum ne sajaya warna
log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain
dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai
un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain
ek wo manzilen baDh kar jinhen lene aaen
ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain
dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein
dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain
Source: Book : Shakh-e-gazal (Pg. 95) Author : Mah-e-talat Zahidi Publication : Baikan Books Gulgisht Multan, Kitab nagar Hassan (2004) Edition : 2004
Leave a comment