Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


na mera zor na bas ab kya hai


na mirā zor na bas ab kyā hai
ai giraftār-e-nafas ab kyā hai

maiñ tire vāste ā.īna thā
apnī sūrat ko taras ab kyā hai

daane daane pe utar aa.e parind
banda-e-dām-e-havas ab kyā hai

kis havā meñ hai tū ai abr-e-karam
ab baras yā na baras ab kyā hai

rahā jab tak rahā samtoñ kā zavāl
aa.ī āvāz-e-jaras ab kyā hai

na mera zor na bas ab kya hai
ai giraftar-e-nafas ab kya hai

main tere waste aaina tha
apni surat ko taras ab kya hai

dane dane pe utar aae parind
banda-e-dam-e-hawas ab kya hai

kis hawa mein hai tu ai abr-e-karam
ab baras ya na baras ab kya hai

raha jab tak raha samton ka zawal
aai aawaz-e-jaras ab kya hai


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 606) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+