Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mah Laqa Chanda

  • Ghazal


tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo


tum muñh lagā ke ġhairoñ ko maġhrūr mat karo
lag chalnā aise desoñ se dastūr mat karo

Tasve bahā ke har ghaḌī zaarī nahīñ hai ḳhuub
ye rāz-e-ishq hai use mash.hūr mat karo

har-chand dil dukhānā kisī kā burā hai par
ranjīda ḳhātiroñ ko to ranjūr mat karo

ai hamdamo jo mujh se hai manzūr iḳhtilāt
juz zikr-e-yār tum koī mazkūr mat karo

raushan rakho jahān meñ maulā misāl-e-mehr
chanda ke muñh se nuur ko tum duur mat karo

tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo
lag chalna aise deson se dastur mat karo

Taswe baha ke har ghaDi zari nahin hai KHub
ye raaz-e-ishq hai use mashhur mat karo

har-chand dil dukhana kisi ka bura hai par
ranjida KHatiron ko to ranjur mat karo

ai hamdamo jo mujh se hai manzur iKHtilat
juz zikr-e-yar tum koi mazkur mat karo

raushan rakho jahan mein maula misal-e-mehr
chanda ke munh se nur ko tum dur mat karo

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo Azra Naqvi

Source: Book : Nuquush Lahore (Pg. 444) Author : Mohd Tufail Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956) Edition : Feb.1956

Leave a comment

+