Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai


jab kabhī ḳhvāb kī ummīd bañdhā kartī hai
niiñd āñkhoñ meñ pareshān phirā kartī hai

yaad rakhnā hī mohabbat meñ nahīñ hai sab kuchh
bhuul jaanā bhī baḌī baat huā kartī hai

dekh be-chārgī-e-kū-e-mohabbat koī dam
saa.e ke vāste dīvār duā kartī hai

sūrat-e-dil baḌe shahroñ meñ rah-e-yak-tarfa
jaane vāloñ ko bahut yaad kiyā kartī hai

do ujāloñ ko milātī huī ik rāh-guzār
be-charāgī ke baḌe rañj sahā kartī hai

jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai
nind aankhon mein pareshan phira karti hai

yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhul jaana bhi baDi baat hua karti hai

dekh be-chaargi-e-ku-e-mohabbat koi dam
sae ke waste diwar dua karti hai

surat-e-dil baDe shahron mein rah-e-yak-tarfa
jaane walon ko bahut yaad kiya karti hai

do ujalon ko milati hui ek rah-guzar
be-charagi ke baDe ranj saha karti hai


Source: Book : meyaar (Pg. 383)

Leave a comment

+