Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


jab itni jaan se mohabbat baDha ke rakkhi thi


jab itnī jaañ se mohabbat baḌhā ke rakkhī thī
to kyuuñ qarīb-e-havā sham.a lā ke rakkhī thī

falak ne bhī na Thikānā kahīñ diyā ham ko
makāñ kī niiv zamīñ se haTā ke rakkhī thī

zarā phuvār paḌī aur aable ug aa.e
ajiib pyaas badan meñ dabā ke rakkhī thī

agarche ḳhema-e-shab kal bhī thā udaas bahut
kam-az-kam aag to ham ne jalā ke rakkhī thī

vo aisā kyā thā ki nā-mutma.in bhī the us se
usī se aas bhī ham ne lagā ke rakkhī thī

ye āsmān 'zafar' ham pe be-sabab TuuTā
uḌaan kaun sī ham ne bachā ke rakkhī thī

jab itni jaan se mohabbat baDha ke rakkhi thi
to kyun qarib-e-hawa shama la ke rakkhi thi

falak ne bhi na Thikana kahin diya hum ko
makan ki niw zamin se haTa ke rakkhi thi

zara phuwar paDi aur aable ug aae
ajib pyas badan mein daba ke rakkhi thi

agarche KHema-e-shab kal bhi tha udas bahut
kam-az-kam aag to hum ne jala ke rakkhi thi

wo aisa kya tha ki na-mutmain bhi the us se
usi se aas bhi hum ne laga ke rakkhi thi

ye aasman 'zafar' hum pe be-sabab TuTa
uDan kaun si hum ne bacha ke rakkhi thi

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+