Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aazim Kohli

  • Ghazal


jab kabhi tum meri jaanib aaoge


jab kabhī tum merī jānib aaoge
mujh ko apnā muntazir hī pāoge

dekhnā kaise pighalte jāoge
jab mirī āġhosh meñ tum aaoge

gesu-e-pechāñ meñ mujh ko bāñdh kar
tum bhī ab bach kar kahāñ tak jāoge

hashr ke din kī to chhoḌo hashr par
umr bhar ye ḳhauf kyūñkar khāoge

vaqt 'āzim' jā ke phir aatā nahīñ
vaqt ko vāpas kahāñ se lāoge

jab kabhi tum meri jaanib aaoge
mujh ko apna muntazir hi paoge

dekhna kaise pighalte jaoge
jab meri aaghosh mein tum aaoge

gesu-e-pechan mein mujh ko bandh kar
tum bhi ab bach kar kahan tak jaoge

hashr ke din ki to chhoDo hashr par
umr bhar ye KHauf kyunkar khaoge

waqt 'azim' ja ke phir aata nahin
waqt ko wapas kahan se laoge


Leave a comment

+