Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Sherkoti

  • Ghazal


jab kabhi bhulne walon ka salam aata hai


jab kabhī bhūlne vāloñ kā salām aatā hai
kārvāñ umr-e-gurezāñ kā Thahar jaatā hai

terī yādoñ ke diye kartā huuñ raushan shab ko
tab kahīñ jā ke dil-e-zār sukūñ paatā hai

dair ye hai vo haram hai vo sanam-ḳhāna hai
dekhnā hai dil-e-dīvāna kidhar jaatā hai

un se kyā kījiye begāna-vashī kā shikva
vaqt ke saath har insān badal jaatā hai

tum nahīñ hote to dil rūThā huā rahtā hai
tum jo aate ho to dīvāna bahal jaatā hai

aah us vaqfa-e-fursat pe dil-o-jān nisār
aap kā dhyān jab aatā hī chalā jaatā hai

tark-e-vāraftagī-e-shauq ke bā-vasf hanūz
chāñd se zohra jamāloñ kā salām aatā hai

tū ne tadbīr-e-mudāvā na kī lekin ye na bhuul
baat rah jaatī hai aur vaqt guzar jaatā hai

imtiyāz-e-man-o-tū jab nahīñ rahtā hai 'jalīl'
vaqt aisā bhī mohabbat meñ zarūr aatā hai

jab kabhi bhulne walon ka salam aata hai
karwan umr-e-gurezan ka Thahar jata hai

teri yaadon ke diye karta hun raushan shab ko
tab kahin ja ke dil-e-zar sukun pata hai

dair ye hai wo haram hai wo sanam-KHana hai
dekhna hai dil-e-diwana kidhar jata hai

un se kya kijiye begana-washi ka shikwa
waqt ke sath har insan badal jata hai

tum nahin hote to dil ruTha hua rahta hai
tum jo aate ho to diwana bahal jata hai

aah us waqfa-e-fursat pe dil-o-jaan nisar
aap ka dhyan jab aata hi chala jata hai

tark-e-waraftagi-e-shauq ke ba-wasf hanuz
chand se zohra jamalon ka salam aata hai

tu ne tadbir-e-mudawa na ki lekin ye na bhul
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai

imtiyaz-e-man-o-tu jab nahin rahta hai 'jalil'
waqt aisa bhi mohabbat mein zarur aata hai


Leave a comment

+