Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mah Laqa Chanda

  • Ghazal


na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab


na gul se hai ġharaz tere na hai gulzār se matlab
rakhā chashm-e-nazar shabnam meñ apne yaar se matlab

ye dil dām-e-nigah meñ tark ke bas jā hī aTkā hai
bar aave kis tarah allāh ab ḳhūñ-ḳhvār se matlab

ba-juz haq ke nahīñ hai ġhair se hargiz tavaqqo kuchh
magar duniyā ke logoñ meñ mujhe hai pyaar se matlab

na samjhā ham ko tū ne yaar aisī jāñ-fishānī par
bhalā pāveñge ai nādāñ kisī hushyār se matlab

na 'chandā' ko tama.a jannat kī ne ḳhauf-e-jahannam hai
rahe hai do-jahāñ meñ haidar-e-karrār se matlab

na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab
rakha chashm-e-nazar shabnam mein apne yar se matlab

ye dil dam-e-nigah mein tark ke bas ja hi aTka hai
bar aawe kis tarah allah ab KHun-KHwar se matlab

ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh
magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matlab

na samjha hum ko tu ne yar aisi jaan-fishani par
bhala pawenge ai nadan kisi hushyar se matlab

na 'chanda' ko tama jannat ki ne KHauf-e-jahannam hai
rahe hai do-jahan mein haidar-e-karrar se matlab

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab Azra Naqvi

Leave a comment

+