Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


aankh se nikla to ek sail-e-rawan ho jaega


aañkh se niklā to ik sail-e-ravāñ ho jā.egā
varna ehsās-e-mohabbat rā.egāñ ho jā.egā

ye muqayyad rah sakā hai kab kisī zindān meñ
ishq ḳhushbū hai zamāne par ayaañ ho jā.egā

jism kī dahlīz par dastak sī hai mahtāb kī
kyā badan is raat merā āsmāñ ho jā.egā

umr ke ik daur meñ yaad aa.egā sahrā kā saath
ye safar jo hai haqīqat dāstāñ ho jā.egā

kaun jiitā kaun haarā hai bulandī kis ke naam
tujh pe zāhir ek din nok-e-sināñ ho jā.egā

umr-bhar ḳhud ko jalāyā ham ne ye hī soch kar
ek din raushan hamārā bhī makāñ ho jā.egā

saaf kah degā hikāyat chehra-e-ayyār kī
aa.ina kaise kisī kā ham-zabāñ ho jā.egā

aankh se nikla to ek sail-e-rawan ho jaega
warna ehsas-e-mohabbat raegan ho jaega

ye muqayyad rah saka hai kab kisi zindan mein
ishq KHushbu hai zamane par ayan ho jaega

jism ki dahliz par dastak si hai mahtab ki
kya badan is raat mera aasman ho jaega

umr ke ek daur mein yaad aaega sahra ka sath
ye safar jo hai haqiqat dastan ho jaega

kaun jita kaun haara hai bulandi kis ke nam
tujh pe zahir ek din nok-e-sinan ho jaega

umr-bhar KHud ko jalaya hum ne ye hi soch kar
ek din raushan hamara bhi makan ho jaega

saf kah dega hikayat chehra-e-ayyar ki
aaina kaise kisi ka ham-zaban ho jaega


Leave a comment

+