Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Haider Lashari

  • Ghazal


tum dhup se na dhup ki yalghaar se bacho


tum dhuup se na dhuup kī yalġhār se bacho
dīvār girne vaalī hai dīvār se bacho

rakh de na kaaT kar kahīñ saare vajūd ko
ḳhud-sāḳhta anāoñ kī talvār se bacho

vo dil kā TūTnā to koī vāqi.a na thā
ab TuuTe dil kī kirchiyoñ kī dhaar se bacho

aisā na ho ki bojh se sar hī na uTh sake
tum bhiik meñ milī huī dastār se bacho

tum dhup se na dhup ki yalghaar se bacho
diwar girne wali hai diwar se bacho

rakh de na kaT kar kahin sare wajud ko
KHud-saKHta anaon ki talwar se bacho

wo dil ka TuTna to koi waqia na tha
ab TuTe dil ki kirchiyon ki dhaar se bacho

aisa na ho ki bojh se sar hi na uTh sake
tum bhik mein mili hui dastar se bacho


Leave a comment

+