patte nahīñ kahīñ harī shāḳh-e-shajar nahīñ
is shahr meñ bahār kī koī ḳhabar nahīñ
rañg-e-ḳhizāñ meñ laakh milā.ūñ diloñ ke rañg
mauj-e-sharāb-o-sher meñ koī asar nahīñ
Duube paḌe haiñ qulzum-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
mauj-e-ravāñ kahāñ hai kisī ko ḳhabar nahīñ
dariyā meñ mauj ban ke kahāñ tak rahe koī
mauj-e-ravāñ ba-sūrat-e-dīvār-o-dar nahīñ
ab manzil-e-vajūd nahīñ dil kī kā.enāt
is ghar meñ ek maiñ huuñ koī baam par nahīñ
tū rāhat-e-vajūd hai tū rūh-e-kā.enāt
is ghar meñ tū nahīñ hai to ye merā ghar nahīñ
dasht-e-talab hai ḳhatm yahāñ nāqa-e-nigāh
ye vo zamīñ hai jis meñ tumhārā guzar nahīñ
patte nahin kahin hari shaKH-e-shajar nahin
is shahr mein bahaar ki koi KHabar nahin
rang-e-KHizan mein lakh milaun dilon ke rang
mauj-e-sharab-o-sher mein koi asar nahin
Dube paDe hain qulzum-e-KHwab-o-KHayal mein
mauj-e-rawan kahan hai kisi ko KHabar nahin
dariya mein mauj ban ke kahan tak rahe koi
mauj-e-rawan ba-surat-e-diwar-o-dar nahin
ab manzil-e-wajud nahin dil ki kaenat
is ghar mein ek main hun koi baam par nahin
tu rahat-e-wajud hai tu ruh-e-kaenat
is ghar mein tu nahin hai to ye mera ghar nahin
dasht-e-talab hai KHatm yahan naqa-e-nigah
ye wo zamin hai jis mein tumhaara guzar nahin
Leave a comment