ai ahl-e-vafā ḳhaak bane kaam tumhārā
āġhāz batā detā hai anjām tumhārā
jaate ho kahāñ ishq ke bedād-kahso tum
us anjuman-e-nāz meñ kyā kaam tumhārā
ai diida o dil kuchh to karo zabt o tahammul
labrez mai-e-shauq se hai jaam tumhārā
ai kaash mire qatl hī kā muzhda vo hotā
aatā kisī sūrat se to paiġhām tumhārā
'vahshat' ho mubārak tumheñ badmastī o rindī
juz ishq-e-butāñ aur hai kyā kaam tumhārā
ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara
aaghaz bata deta hai anjam tumhaara
jate ho kahan ishq ke bedad-kahso tum
us anjuman-e-naz mein kya kaam tumhaara
ai dida o dil kuchh to karo zabt o tahammul
labrez mai-e-shauq se hai jam tumhaara
ai kash mere qatl hi ka muzhda wo hota
aata kisi surat se to paigham tumhaara
'wahshat' ho mubarak tumhein badmasti o rindi
juz ishq-e-butan aur hai kya kaam tumhaara
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara
Nomaan Shauque
Source: Book : Gul Gisht (Pg. 53) Author : Qazi Gaus Muhiuddin Ahmed Siddique Publication : Nawa-e-Dakan Publications-2 (1986) Edition : 1986
Leave a comment