kitne mele haiñ āsmānoñ meñ
aur ham band haiñ makānoñ meñ
nasl-e-ādam nikal ke ġhāroñ se
aa ga.ī hai kitāb-ḳhānoñ meñ
log karte haiñ intizār mirā
tiir khīñche hue kamānoñ meñ
azhdahe haiñ ba-sūrat-e-ashyā
sar uThā.e hue dukānoñ meñ
ham vo sahrā-navard haiñ jin kā
najd phailā hai āsmānoñ meñ
sā.atoñ se guzar rahī hai raat
aag raushan rakho makānoñ meñ
kitne mele hain aasmanon mein
aur hum band hain makanon mein
nasl-e-adam nikal ke ghaaron se
aa gai hai kitab-KHanon mein
log karte hain intizar mera
tir khinche hue kamanon mein
azhdahe hain ba-surat-e-ashya
sar uThae hue dukanon mein
hum wo sahra-naward hain jin ka
najd phaila hai aasmanon mein
saaton se guzar rahi hai raat
aag raushan rakho makanon mein
Leave a comment