Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Nadeem Faisal

  • Ghazal


kuchh saliqe se agar chaak ghumaya jata


kuchh salīqe se agar chaak ghumāyā jaatā
ain mumkin hai ki shahkār banāyā jaatā

jaane vaale ne ġhalat fahmī meñ lauT aanā thā
be-ḳhayālī meñ bhī gar haath hilāyā jaatā

ishq mansūr ko ḳhud daar talak le aayā
is se pahle ki koī hashr uThāyā jaatā

lauTne vaalā isī soch meñ mar jā.egā
kaash zanjīr ko do baar hilāyā jaatā

rañg bharne meñ musavvir ne riyā-kārī kī
varna tasvīr ko mandir meñ lagāyā jaatā

is meñ vahshat hai aziyyat hai zabūñ-hālī hai
ab ye kirdār nahīñ mujh se nibhāyā jaatā

aap to shakl se lagte haiñ adākār mujhe
aap jaisoñ ko nahīñ dost banāyā jaatā

avvalīñ ḳhat ko jalā kar vo gunahgār huā
kaash tāzīm se dariyā meñ bahāyā jaatā

maiñ ne badlī haiñ rivāyāt purānī varna
maiñ bhī 'faisal' kisī paTrī se uThāyā jaatā

kuchh saliqe se agar chaak ghumaya jata
ain mumkin hai ki shahkar banaya jata

jaane wale ne ghalat fahmi mein lauT aana tha
be-KHayali mein bhi gar hath hilaya jata

ishq mansur ko KHud dar talak le aaya
is se pahle ki koi hashr uThaya jata

lauTne wala isi soch mein mar jaega
kash zanjir ko do bar hilaya jata

rang bharne mein musawwir ne riya-kari ki
warna taswir ko mandir mein lagaya jata

is mein wahshat hai aziyyat hai zabun-haali hai
ab ye kirdar nahin mujh se nibhaya jata

aap to shakl se lagte hain adakar mujhe
aap jaison ko nahin dost banaya jata

awwalin KHat ko jala kar wo gunahgar hua
kash tazim se dariya mein bahaya jata

main ne badli hain riwayat purani warna
main bhi 'faisal' kisi paTri se uThaya jata


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+