khul ga.iiñ āñkheñ ki jab duniyā kā sach ham par khulā
apne andar sab khule haiñ kaun hai bāhar khulā
qatl se pahle zarā chīḳhoñ pe ik maqtūl kī
kuchh darīche to khule lekin na koī dar khulā
tañg ho jaa.e zamīñ bhī ab to koī ġham nahīñ
ham faqīroñ ke liye hai āsmāñ sar par khulā
aadmī ke zāhir-o-bātin meñ kitnā farq hai
aaj daurān-e-masāfat ham pe ye manzar khulā
do duā.eñ shaah ko jin ke zamāne meñ 'zafar'
vo pazīrā.ī huī 'ġhālib' kā har jauhar khulā
khul gain aankhen ki jab duniya ka sach hum par khula
apne andar sab khule hain kaun hai bahar khula
qatl se pahle zara chiKHon pe ek maqtul ki
kuchh dariche to khule lekin na koi dar khula
tang ho jae zamin bhi ab to koi gham nahin
hum faqiron ke liye hai aasman sar par khula
aadmi ke zahir-o-baatin mein kitna farq hai
aaj dauran-e-masafat hum pe ye manzar khula
do duaen shah ko jin ke zamane mein 'zafar'
wo pazirai hui 'ghaalib' ka har jauhar khula
Source: Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 132) Author : Zafar Kaleem Publication : Zafar Kaleem (2007) Edition : 2007
Leave a comment