Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Farrukhabadi

  • Ghazal


dar-e-ummid wa nahin hota


dar-e-ummīd vā nahīñ hotā
ab vo jalva-numā nahīñ hotā

kitnī pur-lutf ziist hotī hai
jab koī aasrā nahīñ hotā

aañkh se gir gayā ho jo aañsū
vo kisī kaam kā nahīñ hotā

ḳhud garebāñ meñ jhāñk kar dekhā
koī insāñ burā nahīñ hotā

tū sabhī kā hai ik hamāre sivā
ham se bas ye gila nahīñ hotā

vahī hotā nahīñ jo ham chāheñ
varna hone ko kyā nahīñ hotā

jaan kar maiñ ḳhamosh huuñ 'hairat'
mujh se us kā gila nahīñ hotā

dar-e-ummid wa nahin hota
ab wo jalwa-numa nahin hota

kitni pur-lutf zist hoti hai
jab koi aasra nahin hota

aankh se gir gaya ho jo aansu
wo kisi kaam ka nahin hota

KHud gareban mein jhank kar dekha
koi insan bura nahin hota

tu sabhi ka hai ek hamare siwa
hum se bas ye gila nahin hota

wahi hota nahin jo hum chahen
warna hone ko kya nahin hota

jaan kar main KHamosh hun 'hairat'
mujh se us ka gila nahin hota


Leave a comment

+