Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai


kisī qātil se na talvār se Dar lagtā hai
aaj kyā baat hai darbār se Dar lagtā hai

ḳhud ko oḌhe hue baiThā huuñ kisī goshe meñ
har taraf shorish-e-bisyār se Dar lagtā hai

sochtā huuñ ki kahāñ Tek lagā kar baiThūñ
mujh ko ḳhud apnī hī dīvār se Dar lagtā hai

TuuT jaa.e na kisī aan tasalsul us kā
kyuuñ mujhe saañs kī takrār se Dar lagtā hai

maiñ ne qātil kā adā rol kiyā hai 'hamdam'
kyuuñ mujhe apne hī kirdār se Dar lagtā hai

kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai
aaj kya baat hai darbar se Dar lagta hai

KHud ko oDhe hue baiTha hun kisi goshe mein
har taraf shorish-e-bisyar se Dar lagta hai

sochta hun ki kahan Tek laga kar baiThun
mujh ko KHud apni hi diwar se Dar lagta hai

TuT jae na kisi aan tasalsul us ka
kyun mujhe sans ki takrar se Dar lagta hai

main ne qatil ka ada rol kiya hai 'hamdam'
kyun mujhe apne hi kirdar se Dar lagta hai


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+