abhī se tāq-e-talab par na tū sajā mujh ko
abhī to karnā hai is dil se mashvara mujh ko
abhī shabīh mukammal nahīñ huī terī
abhī to bharnā hai ik rañg-e-māvarā mujh ko
koī na koī to sūrat nikal hī aa.egī
zarā batāo to darpesh marhala mujh ko
ye baat baat pe takrār-o-bahs kyā karnā
ki jītnā hai tumheñ aur hārnā mujh ko
maiñ us kī zaat meñ shāmil thii, us ko mil jaatī
duā-e-ḳhair samajh kar vo māñgtā mujh ko
maiñ jis meñ dekh ke ḳhud ko sañvār luuñ 'nāhīd'
abhī milā hī kahāñ hai vo aa.inā mujh ko
abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko
abhi to karna hai is dil se mashwara mujh ko
abhi shabih mukammal nahin hui teri
abhi to bharna hai ek rang-e-mawara mujh ko
koi na koi to surat nikal hi aaegi
zara batao to darpesh marhala mujh ko
ye baat baat pe takrar-o-bahs kya karna
ki jitna hai tumhein aur haarna mujh ko
main us ki zat mein shamil thi, us ko mil jati
dua-e-KHair samajh kar wo mangta mujh ko
main jis mein dekh ke KHud ko sanwar lun 'nahid'
abhi mila hi kahan hai wo aaina mujh ko
Leave a comment