khoyā huā sā rahtā huuñ aksar maiñ ishq meñ
yā yuuñ kaho ki hosh meñ aane lagā huuñ maiñ
ye ibtidā-e-shauq kī hālat na ho kahīñ
mahfil meñ us se aañkh churāne lagā huuñ maiñ
ab kyuuñ gila rahegā mujhe hijr-e-yār kā
be-tābiyoñ se lutf uThāne lagā huuñ maiñ
khoya hua sa rahta hun aksar main ishq mein
ya yun kaho ki hosh mein aane laga hun main
ye ibtida-e-shauq ki haalat na ho kahin
mahfil mein us se aankh churane laga hun main
ab kyun gila rahega mujhe hijr-e-yar ka
be-tabiyon se lutf uThane laga hun main
Source: Book : Ehsasat-e-Farigh (Pg. 10) Author : Laxmi Narayan Farigh
Leave a comment