Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Rahmani

  • Ghazal


ab karb ke tufan se guzarna hi paDega


ab karb ke tūfāñ se guzarnā hī paḌegā
sūraj ko samundar meñ utarnā hī paḌegā

fitrat ke taqāze kabhī badle nahīñ jaate
ḳhushbū hai agar vo to bikharnā hī paḌegā

paḌtī hai to paḌ jaa.e shikan us kī jabīñ par
sachchā.ī kā iz.hār to karnā hī paḌegā

har shaḳhs ko ā.eñge nazar rañg sahar ke
ḳhurshīd kī kirnoñ ko bikharnā hī paḌegā

maiñ soch rahā huuñ ye sar-e-shahr-e-nigārāñ
ye us kī galī hai to Thaharnā hī paḌegā

ab shāna-e-tadbīr hai hāthoñ meñ hamāre
hālāt kī zulfoñ ko sañvarnā hī paḌegā

ik umr se be-nūr hai ye mahfil-e-hastī
'ejāz' koī rañg to bharnā hī paḌegā

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega
suraj ko samundar mein utarna hi paDega

fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate
KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega

paDti hai to paD jae shikan us ki jabin par
sachchai ka izhaar to karna hi paDega

har shaKHs ko aaenge nazar rang sahar ke
KHurshid ki kirnon ko bikharna hi paDega

main soch raha hun ye sar-e-shahr-e-nigaran
ye us ki gali hai to Thaharna hi paDega

ab shana-e-tadbir hai hathon mein hamare
haalat ki zulfon ko sanwarna hi paDega

ek umr se be-nur hai ye mahfil-e-hasti
'ejaz' koi rang to bharna hi paDega


Source:

Leave a comment

+