muddat huī hai mad.h-e-hasīnāñ kiye hue
nūr-e-suḳhan se dil ko charāġhāñ kiye hue
arsa huā hai vasf-e-bahār-e-jamāl se
rū-e-varaq ko rashk-e-gulistāñ kiye hue
barsoñ hue haiñ tazkira-e-soz-e-ishq se
bazm-e-suḳhanvarī ko daraḳhshāñ kiye hue
aatā hai kis shikoh se vo rashk-e-āftāb
zulmat-kade diloñ ke charāġhāñ kiye hue
jaatā huuñ kū-e-yār ko dekh ai ghaTā mujhe
barpā hujūm-e-ashk se tūfāñ kiye hue
baiThe haiñ ham tasavvur-e-gesū-e-yār meñ
is zindagī ko ḳhvāb-e-pareshāñ kiye hue
ḳhuuñ kar ke le chalā huuñ dil-o-jāñ ko apne saath
dīdār-e-rū-e-yār kā sāmāñ kiye hue
mar miTiye is adā pe ki kuchh log jal-bujhe
siine meñ soz-e-ishq ko pinhāñ kiye hue
vo nau-bahār-e-husn bhī is raah se gayā
har naqsh-e-pā ko rauza-e-rizvāñ kiye hue
muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue
nur-e-suKHan se dil ko charaghan kiye hue
arsa hua hai wasf-e-bahaar-e-jamal se
ru-e-waraq ko rashk-e-gulistan kiye hue
barson hue hain tazkira-e-soz-e-ishq se
bazm-e-suKHanwari ko daraKHshan kiye hue
aata hai kis shikoh se wo rashk-e-aftab
zulmat-kade dilon ke charaghan kiye hue
jata hun ku-e-yar ko dekh ai ghaTa mujhe
barpa hujum-e-ashk se tufan kiye hue
baiThe hain hum tasawwur-e-gesu-e-yar mein
is zindagi ko KHwab-e-pareshan kiye hue
KHun kar ke le chala hun dil-o-jaan ko apne sath
didar-e-ru-e-yar ka saman kiye hue
mar miTiye is ada pe ki kuchh log jal-bujhe
sine mein soz-e-ishq ko pinhan kiye hue
wo nau-bahaar-e-husn bhi is rah se gaya
har naqsh-e-pa ko rauza-e-rizwan kiye hue
Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 01.10.2015)
Leave a comment