Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


jo nazar se bayan hoti hai


jo nazar se bayān hotī hai
kyā hasīñ dāstān hotī hai

pattharoñ ko na Thokareñ maaro
pattharoñ meñ bhī jaan hotī hai

jis ko chhū do tum apne qadmoñ se
vo zamīñ āsmān hotī hai

be-piye bhī surūr hotā hai
jab mohabbat javān hotī hai

zindagī to usī kī hai jis par
vo nazar mehrbān hotī hai

jitne ūñche ḳhayāl hote haiñ
utnī ūñchī uḌaan hotī hai

aarzū kī zabāñ nahīñ hotī
aarzū be-zabān hotī hai

jis meñ shāmil ho talḳhi-e-ġham bhī
kitnī mīThī vo taan hotī hai

in kī nazroñ kā ho fusūñ jis meñ
vo ġhazal kī zabān hotī hai

ḳhaar kī zindagī-e-be-raunaq
phuul kī pāsbān hotī hai

kaun detā hai ruuh ko āvāz
jab haram meñ azaan hotī hai

ishq kī zindagī 'hafīz' na pūchh
har ghaḌī imtihān hotī hai

jo nazar se bayan hoti hai
kya hasin dastan hoti hai

pattharon ko na Thokaren maro
pattharon mein bhi jaan hoti hai

jis ko chhu do tum apne qadmon se
wo zamin aasman hoti hai

be-piye bhi surur hota hai
jab mohabbat jawan hoti hai

zindagi to usi ki hai jis par
wo nazar mehrban hoti hai

jitne unche KHayal hote hain
utni unchi uDan hoti hai

aarzu ki zaban nahin hoti
aarzu be-zaban hoti hai

jis mein shamil ho talKHi-e-gham bhi
kitni miThi wo tan hoti hai

in ki nazron ka ho fusun jis mein
wo ghazal ki zaban hoti hai

KHar ki zindagi-e-be-raunaq
phul ki pasban hoti hai

kaun deta hai ruh ko aawaz
jab haram mein azan hoti hai

ishq ki zindagi 'hafiz' na puchh
har ghaDi imtihan hoti hai


Leave a comment

+