Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aanis Moin

  • Ghazal


jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte


jīvan ko dukh dukh ko aag aur aag ko paanī kahte
bachche lekin so.e hue the kis se kahānī kahte

sach kahne kā hausla tum ne chhīn liyā hai varna
shahr meñ phailī vīrānī ko sab vīrānī kahte

vaqt guzartā jaatā aur ye zaḳhm hare rahte to
baḌī hifāzat se rakkhī hai terī nishānī kahte

vo to shāyad donoñ kā dukh ik jaisā thā varna
ham bhī patthar mārte tujh ko aur dīvānī kahte

tabdīlī sachchā.ī hai is ko mānte lekin kaise
ā.īne ko dekh ke ik tasvīr purānī kahte

terā lahja apnāyā ab dil meñ hasrat sī hai
apnī koī baat kabhī to apnī zabānī kahte

chup rah kar iz.hār kiyā hai kah sakte to 'ānas'
ek alāhida tarz-e-suḳhan kā tujh ko baanī kahte

jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte
bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte

sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna
shahr mein phaili virani ko sab virani kahte

waqt guzarta jata aur ye zaKHm hare rahte to
baDi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte

wo to shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna
hum bhi patthar marte tujh ko aur diwani kahte

tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise
aaine ko dekh ke ek taswir purani kahte

tera lahja apnaya ab dil mein hasrat si hai
apni koi baat kabhi to apni zabani kahte

chup rah kar izhaar kiya hai kah sakte to 'anas'
ek alahida tarz-e-suKHan ka tujh ko bani kahte

RECITATIONS Noshi Gilani



00:00/00:00 jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte Noshi Gilani

Leave a comment

+