dil ko ḳhud dilbar se ḳhatra
ghar ko ab hai ghar se ḳhatra
sar zabān ke ḳhatre meñ thā
ab zabān ko sar se ḳhatra
raah meñ kho jaanā hai behtar
raahī ko rahbar se ḳhatra
raat ko sonā dekh-bhāl ke
chādar se bistar se ḳhatra
yaaro dushman qātil saare
nīche aur uupar se ḳhatra
ghar jaa.eñ yā bāhar ghūmeñ
andar se bāhar se ḳhatra
raat kī raat safar hai apnā
ham ko nūr-e-sahar se ḳhatra
bashar banātā maut hai apnī
us ko apne hunar se ḳhatra
dil ko KHud dilbar se KHatra
ghar ko ab hai ghar se KHatra
sar zaban ke KHatre mein tha
ab zaban ko sar se KHatra
rah mein kho jaana hai behtar
rahi ko rahbar se KHatra
raat ko sona dekh-bhaal ke
chadar se bistar se KHatra
yaro dushman qatil sare
niche aur upar se KHatra
ghar jaen ya bahar ghumen
andar se bahar se KHatra
raat ki raat safar hai apna
hum ko nur-e-sahar se KHatra
bashar banata maut hai apni
us ko apne hunar se KHatra
Leave a comment