Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah


chhup ke nazroñ se in āñkhoñ kī farāmosh kī raah
ab jo aatā hai kabhī dil meñ to vo gosh kī raah

aage juuñ ashk vo rahtā thā sadā pahlū meñ
kyuuñ ab us tifl ne gum kī mirī āġhosh kī raah

kyūñke poñchhegā vo aa kar mire aañsū haihāt
kūche sab ashk se gil haiñ nahīñ pā-posh kī raah

bhar safar naam japūñgā tirā to raah kaTe
yuuñ to tai hogī na us rah-rav-e-ḳhāmosh kī raah

chhoḌ kar kūcha-e-mai-ḳhāna taraf masjid ke
maiñ to dīvāna nahīñ huuñ jo chalūñ hosh kī raah

yuuñ to aatā nahīñ ai kaash mire ghar koī
phere nashshe meñ ġhalat us but-e-mai-nosh kī raah

Das ga.iiñ haa.e mire dil ke ta.iiñ aaj 'baqā'
nāgineñ zulf kī us sar se utar dosh kī raah

chhup ke nazron se in aankhon ki faramosh ki rah
ab jo aata hai kabhi dil mein to wo gosh ki rah

aage jun ashk wo rahta tha sada pahlu mein
kyun ab us tifl ne gum ki meri aaghosh ki rah

kyunke ponchhega wo aa kar mere aansu haihat
kuche sab ashk se gil hain nahin pa-posh ki rah

bhar safar nam japunga tera to rah kaTe
yun to tai hogi na us rah-raw-e-KHamosh ki rah

chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke
main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah

yun to aata nahin ai kash mere ghar koi
phere nashshe mein ghalat us but-e-mai-nosh ki rah

Das gain hae mere dil ke tain aaj 'baqa'
naginen zulf ki us sar se utar dosh ki rah


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+